khulā  har  manzar-e-fikr-o-nazar  āhista  āhista
chhaTā  āḳhir  ġhubār-e-rahguzar  āhista  āhista
vo  ik  be-nām  sā  koī  jazīra  bahr-e-imkā۔n  meñ
parindoñ  se  milī  ham  ko  ḳhabar  āhista  āhista
nazar  meñ  chashm-e-tar  meñ  yā  kabhī  āġhosh-e-dariyā  meñ
guhar  takmīl  hotā  hai  magar  āhista  āhista
na  jaane  tishnagī  thī  yā  koī  ehsās-e-mahrūmī
jale  ik  aag  meñ  ham-umr  bhar  āhista  āhista
vo  kuchh  bhūlī  huī  yādeñ  vo  dhundlī  chand  tasvīreñ
sadā.eñ  detī  haiñ  ab  bhī  magar  āhista  āhista
hue  jaate  haiñ  ḳhushiyoñ  ke  manāzir  kam  se  kam  'anjum'
bichhaḌte  jā  rahe  haiñ  ham-safar  āhista  āhista