hadd-e-nigāh  shaam  kā  manzar  dhuāñ  dhuāñ
chhāne  lagā  hai  zehn  ke  andar  dhuāñ  dhuāñ
girtī  huī  phuvār  banātī  huī  dhanak
kuchh  der  ba.ad  rah  ga.ī  ho  kar  dhuāñ  dhuāñ
lahroñ  se  kheltā  huā  kirnoñ  kā  ik  hujūm
uThtā  huā  sā  duur  ufuq  par  dhuāñ  dhuāñ
uḌte  hue  parind  ḳhalāoñ  meñ  gum  hue
phir  rah  gayā  nigāh  meñ  jam  kar  dhuāñ  dhuāñ
kānoñ  meñ  kashtiyoñ  kī  sadā  gūñjne  lagī
phir  sāmne  hai  ek  samundar  dhuāñ  dhuāñ