dasht-e-talab  meñ  kab  se  akelā  khaḌā  huuñ  maiñ
jis  kā  nahīñ  javāb  koī  vo  sadā  huuñ  maiñ
kis  kī  talāsh  hai  mujhe  apne  vajūd  meñ
vo  kaun  kho  gayā  hai  jise  DhūñDhtā  huuñ  maiñ
ye  maiñ  ne  kab  kahā  thā  ki  Thahro  mire  liye
dekhā  to  hotā  muḌ  ke  kahāñ  rah  gayā  huuñ  maiñ
hai  kis  kā  intizār  tujhe  rāh-e-raftagāñ
terī  hadoñ  se  duur  bahut  jā  chukā  huuñ  maiñ
muddat  ke  baad  lauT  ke  ghar  aa  gayā  to  huuñ
ab  sochne  lagā  huuñ  koī  dūsrā  huuñ  maiñ