ġham  ho  ki  ḳhushī  koī  tamāshā  nahīñ  karte
kuchh  log  kisī  baat  kā  charchā  nahīñ  karte
be-vaj.h  to  hotī  nahīñ  āñgan  kī  ḳhamoshī
bachchoñ  ko  har  ik  baat  pe  Tokā  nahīñ  karte
insān  kī  fitrat  kā  ajab  haal  hai  yaaro
kuchh  peḌ  ghane  hote  haiñ  saaya  nahīñ  karte
ik  umr  gañvā.ī  hai  usī  moḌ  pe  ham  ne
pal  bhar  ko  musāfir  jahāñ  Thahrā  nahīñ  karte
ham  teġh-o-sipar  chhīn  liyā  karte  haiñ  'anjum'
zālim  se  kabhī  zulm  kā  shikva  nahīñ  karte