Qateel Shifai

nae ek shahr ko subh-e-safar kya le chali mujhko

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001

na.e ik shahr ko sub.h-e-safar kyā le chalī mujh ko

sadā.eñ de rahī hai ek chhoTī galī mujh ko

maiñ apnī umr bhar chain jab us dar pe chhoḌ aayā

milī hai tab kahīñ kar zarā be-kalī mujh ko

maiñ qatre gin ke insānoñ taqdīreñ banātā huuñ

zarā tishna-kāmī ne banā Daalā valī mujh ko

maiñ vo gulshan-gazīda huuñ ki tanhā.ī ke mausam meñ

nahīñ hote agar kāñTe to Dastī hai kalī mujh ko

mohabbat thī use lekin mirā iflās jab dekhā

pareshāñ nazar aa.ī vo nāzoñ palī mujh ko

'qatīl' ābād jab ghar thā to kyuuñ mujh par kahīñ ġhazleñ

ye ta.ana jaate jaate de ga.ī ik dil-jalī mujh ko

Top Urdushayar.com