Asif-ud-Daula

dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil

Asif-ud-Daula

1748-1797
dām-e-ulfat meñ phañsā dil haa.e dil afsos dil
ab na hovegā rihā dil haa.e dil afsos dil
vo use kyā kyā kahe aur ye saraktā hī nahīñ
ho gayā yuuñ be-hayā dil haa.e dil afsos dil
milte hī zālim ne mujh ko chhoḌ kar yuuñ yak-ba-yak
ho gayā mujh se judā dil haa.e dil afsos dil
āh-o-nāle kī sadā bhī ab to aane se rahī
mar gayā shāyad mirā dil haa.e dil afsos dil
kis tarah us se banegī hai bahut vo bevafā
aur mirā hai bā-vafā dil haa.e dil afsos dil
maiñ ne kitnā dil ko samjhāyā ki ab bhī ishq se
baaz aa dil baaz aa dil haa.e dil afsos dil
so na maanā dil ne aur saude meñ āḳhir ishq ke
yuuñ divāna ho gayā dil haa.e dil afsos dil
chhoḌ kar mere ta.iiñ aur paas zālim ke rahe
aur sahe jaur-o-jafā dil haa.e dil afsos dil
phir to 'āsif' ġhair se kis baat kī kiije ummīd
jab ki apnā de daġhā dil haa.e dil afsos dil
Top Urdushayar.com