Asif-ud-Daula

sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka

Asif-ud-Daula

1748-1797
siine meñ daaġh hai tapish-e-intizār kā
ab kyā karūñ ilaaj dil-e-dāġh-dār kā
us se mujhe milāo ki martā huuñ hijr meñ
baa.is hai zindagī kā mirī vasl yaar kā
sayyād ab to chhoḌ de aatī hai fasl-e-gul
dekhūñgā haa.e kyuuñ ki tamāshā bahār kā
shāyad tumhāre diiñ meñ hai ai dilbaro ravā
dil chhīn lenā āshiq sīna-figār kā
shabnam nahīñ hai barg ke uupar chaman ke biich
'āsif' girā hai ashk kisī be-qarār kā
Top Urdushayar.com