tālib  ho  vahāñ  aan  ke  kyā  koī  sanam  kā
ho  jis  ko  bharosa  na  jahāñ  ek  bhī  dam  kā
kyā  maiñ  tujhe  ahvāl  dil-o-jāñ  kā  batā.ūñ
ab  maiñ  to  irāda  kiye  baiThā  huuñ  adam  kā
kī  lākhoñ  haiñ  tadbīr  miyāñ  ham  ne  vo  lekin
chhūTā  na  ye  dil  bāñdhā  huā  zulf  ke  ḳham  kā
yā  vasl  ho  yā  maut  koī  tarah  to  hove
kab  tak  rahūñ  pāmāl  maiñ  is  dard-o-alam  kā
jalne  na  diyā  ātish-e-ġham  se  jigar-o-dil
kyā  kyā  kahūñ  ehsān  maiñ  is  dīda-e-nam  kā
aayā  jo  nasha  mai  kā  to  shab  aañkh  meñ  us  kī
sau  rañg  se  bad-mastī  kā  rañg  aan  ke  chamkā
vasl  us  kā  mayassar  nahīñ  sach  kahtā  hai  'āsif'
kyuuñ  apne  ta.iiñ  rakhtā  hai  masrūf  tū  ġham  kā