Asif-ud-Daula

aankhon se apni aasif tu ehtiraaz karna

Asif-ud-Daula

1748-1797

āñkhoñ se apnī 'āsif' ehtirāz karnā

ye ḳhū burī hai in ifshā-e-rāz karnā

jaate to ho piyāre uktā ke mujh kane se

par vāste ḳhudā ke phir sarfarāz karnā

do-chār din meñ zālim hovegī ḳhat shiddat

ye husn aarzī hai is par na naaz karnā

phirte ho tum har ik ham bhī to āshnā haiñ

yaañ bhī karam kabhī ai banda-navāz karnā

dil to bahut liye haiñ tum ne har ek se

is mere dil sāhab kuchh imtiyāz karnā

Top Urdushayar.com