ufuq  ke  us  paar  zindagī  ke  udaas  lamhe  guzār  aa.uuñ
agar  mirā  saath  de  sako  tum  to  maut  ko  bhī  pukār  aa.uuñ
kuchh  is  tarah  jī  rahā  huuñ  jaise  uThā.e  phirtā  huuñ  laash  apnī
jo  tum  zarā  sā  bhī  do  sahārā  to  bār-e-hastī  utaar  aa.uuñ
badal  ga.e  zindagī  ke  mehvar  tavāf-e-dair-o-haram  kahāñ  kā
tumhārī  mahfil  agar  ho  baaqī  to  maiñ  bhī  parvāna-vār  aa.uuñ
koī  to  aisā  maqām  hogā  jahāñ  mujhe  bhī  sukūñ  milegā
zamīñ  ke  tevar  badal  rahe  haiñ  to  āsmāñ  ko  sañvār  aa.uuñ
agarche  isrār-e-be-ḳhudī  hai  tujhe  bhī  zar-posh  mahfiloñ  meñ
mujhe  bhī  zid  hai  ki  tere  dil  meñ  nuqūsh-e-māzī  ubhār  aa.uuñ
sunā  hai  ek  ajnabī  sī  manzil  ko  uTh  rahe  haiñ  qadam  tumhāre
burā  na  maano  to  rahnumā.ī  ko  maiñ  sar-e-rahguzār  aa.uuñ