Afsar Azri

abhi jawani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghanera

Afsar Azri

abhī javānī hai mai-kade par abhī to bādal bhī hai ghanerā
abhī to zinda hai husn saaqī abhī salāmat hai ishq merā
vo shab kī sāñseñ ukhaḌ rahī haiñ vo laḌkhaḌāne lagā añdherā
uTho musībat-kasho uTho bhī uTho ki hone ko hai saverā
mujhe na mahbūs kar sakegī kisī bhī pāzeb kī chhanā-chhan
giraft kī manziloñ se aage guzar chukā hai shu.ūr merā
vo sarmadī sā hasīñ tarannum latīf hoñToñ kā ik tabassum
mujhe ye ehsās kyoñ hai paiham ki jaise kuchh kho gayā hai merā
nazar uThānā idhar na 'afsar' burā hai ye dollaroñ kā chakkar
udhar udhar ho ga.ī safā.ī jidhar jidhar us ne haath pherā
Top Urdushayar.com