terī  ḳhushbū  kā  tarāshā  hai  ye  paikar  kis  ne
kar  diyā  hai  mirā  māhaul  mo.attar  kis  ne
āsmāñ  himmat-e-parvāz  se  kuchh  duur  nahīñ
is  tamannā  ke  magar  kaaT  liye  par  kis  ne
nā-samajh  qatra-e-nāchīz  kī  vaq.at  ko  samajh
tū  samundar  hai  banāyā  hai  samundar  kis  ne
kis  kī  pāzeb  kā  sañgīt  hai  hastī  merī
paañv  se  bāñdh  liyā  merā  muqaddar  kis  ne
partav-e-husn  hai  nāhīd  guzar-gāh-e-ḳhayāl
sar  pe  rakkhī  hai  chhalaktī  huī  gāgar  kis  ne
ḳhushnumā  dā.ere  bante  hī  chale  jaate  haiñ
dil  ke  tālāb  meñ  pheñkā  hai  ye  kañkar  kis  ne
tū  merā  dost  sahī  yaar  magar  ye  to  batā
vaqt  ye  dhoka  diyā  hai  mujhe  akasr  kis  ne
daf.atan  kis  ne  jagā  dī  mirī  soī  qismat
merā  muñh  chuum  liyā  ḳhvāb  meñ  'afsar'  kis  ne