har  savāl  kā  apne  ḳhud  javāb  ho  jaa.e
zarre  kī  tamannā  hai  āftāb  ho  jaa.e
tū  kabhī  jo  bhūle  se  be-naqāb  ho  jaa.e
muntaqil  haqīqat  meñ  apnā  ḳhvāb  ho  jaa.e
ishq  ke  parastāro  kuchh  kamī  to  hai  varna
bul-havas  mohabbat  meñ  kāmyāb  ho  jaa.e
ham-nafas  ḳhudā-hāfiz  ġhuncha-o-anādil  kā
bāġhbāñ  kī  niyyat  hī  jab  ḳharāb  ho  jaa.e
mai-kade  meñ  tauba  kā  kis  ko  hosh  rahtā  hai
aur  har  nazar  terī  jab  sharāb  ho  jaa.e