kuchh  ab  ke  rasm-e-jahāñ  ke  ḳhilāf  karnā  hai
shikast  de  ke  adū  ko  maaf  karnā  hai
havā  ko  zid  ki  uḌā.egī  dhuul  har  sūrat
hameñ  ye  dhun  hai  ki  ā.īna  saaf  karnā  hai
vo  boltā  hai  to  sab  log  aise  sunte  haiñ
ki  jaise  us  ne  koī  inkishāf  karnā  hai
mujhe  pata  hai  ki  apne  bayān  se  us  ne
kahāñ  kahāñ  pe  abhī  inhirāf  karnā  hai
charāġh  le  ke  hathelī  pe  ghūmnā  aise
havā-e-tund  ko  apne  ḳhilāf  karnā  hai
vo  jurm  ham  se  jo  sarzad  nahīñ  hue  'az.har'
abhī  to  un  kā  hameñ  e'tirāf  karnā  hai