Azhar Adeeb

dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
dil pyāsā aur aañkh savālī rah jaatī hai
is ke ba.ad ye bastī ḳhālī rah jaatī hai
be-ḳhvābī kab chhup saktī hai kājal se bhī
jāgne vaalī aañkh meñ laalī rah jaatī hai
tiir tarāzū ho jaatā hai aa kar dil meñ
hāthoñ meñ zaitūn kī Daalī rah jaatī hai
dhuup se rañg aur havā se kāġhaz uḌ jaate haiñ
zehn meñ ik tasvīr ḳhayālī rah jaatī hai
kabhī kabhī to 'az.har' bilkul mar jaatā huuñ
bas ik miTTī oḌhne vaalī rah jaatī hai
Top Urdushayar.com