lahje  aur  āvāz  meñ  rakkhā  jaatā  hai
ab  to  zahr  alfāz  meñ  rakkhā  jaatā  hai
mushkil  hai  ik  baat  hamāre  maslak  kī
apne  aap  ko  raaz  meñ  rakkhā  jaatā  hai
ik  sho.ala  rakhnā  hotā  hai  siine  meñ
ik  sho.ala  āvāz  meñ  rakkhā  jaatā  hai
ham  logoñ  ko  ḳhvāb  dikhā  kar  manzil  kā
raste  ke  āġhāz  meñ  rakkhā  jaatā  hai
yahāñ  to  uḌte  uḌte  thak  kar  girne  tak
chiḌiyā  ko  parvāz  meñ  rakkhā  jaatā  hai
āḳhir-e-shab  jo  ḳhvāb  dikhā.ī  dete  hoñ
'az.har'  un  ko  raaz  meñ  rakkhā  jaatā  hai