Azhar Adeeb

wo shab ke sae mein fasl-e-nashat kaTte hain

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
vo shab ke saa.e meñ fasl-e-nashāt kāTte haiñ
ham apnī zaat ke hujre meñ raat kāTte haiñ
ajiib log haiñ is ahd-e-be-muravvat ke
zabān kaaT na paa.eñ to baat kāTte haiñ
ye lamha ahl-e-mohabbat pe saḳht bhārī hai
ye lamha ahl-e-mohabbat ke saath kāTte haiñ
thakan se puurā badan chuur chuur hotā hai
pahāḌ kāTte haiñ ham ki raat kāTte haiñ
ye rañg le ke kahāñ aa ga.e ho tum 'az.har'
yahāñ to log musavvir ke haath kāTte haiñ
Top Urdushayar.com