kal  pardes  meñ  yaad  aa.egī  dhyān  meñ  rakh
apne  shahr  kī  miTTī  bhī  sāmān  meñ  rakh
saare  jism  ko  le  kar  ghuum  zamāne  meñ
bas  ik  dil  kī  dhaḌkan  pākistān  meñ  rakh
jaane  kis  raste  se  kirneñ  aa  jaa.eñ
dil  dahlīz  pe  āñkheñ  raushan-dān  meñ  rakh
jhiil  meñ  ik  mahtāb  zarūrī  hotā  hai
koī  tamannā  is  chashm-e-hairān  meñ  rakh
ham  se  shart  lagāne  kī  ik  sūrat  hai
apne  saare  ḳhvāb  yahāñ  maidān  meñ  rakh
jab  bhī  chāhūñ  terā  chehrā  soch  sakūñ
bas  itnī  sī  baat  mire  imkān  meñ  rakh
titlī  rasta  bhuul  ke  aa  bhī  saktī  hai
kāġhaz  ke  ye  phuul  abhī  gul-dān  meñ  rakh
apne  dil  se  rusvā.ī  kā  ḳhauf  nikāl
'az.har'  ab  tasvīr  mirī  dālān  meñ  rakh