pattā  huuñ  āñdhiyoñ  ke  muqābil  khaḌā  huuñ  maiñ
girte  hue  daraḳht  se  kitnā  baḌā  huuñ  maiñ
parcham  huuñ  raushnī  kā  mirā  ehtirām  kar
tārīkiyoñ  kā  rāsta  roke  khaḌā  huuñ  maiñ
mere  hare  vajūd  se  pahchān  us  kī  thī
be-chehra  ho  gayā  hai  vo  jab  se  jhaḌā  huuñ  maiñ
mat  soch  ye  ki  merī  kisī  ne  nahīñ  sunī
ye  dekh  apnī  baat  pe  kitnā  aḌā  huuñ  maiñ
ab  us  ke  rābte  bhī  mire  dushmanoñ  se  haiñ
jis  ke  vaqār  ke  liye  'az.har'  laḌā  huuñ  maiñ