jagah  phūloñ  kī  rakhte  haiñ  ghanā  saaya  banāte  haiñ
chalo  apne  ḳhayālī  shahr  kā  naqsha  banāte  haiñ
abhī  to  chaak  par  haiñ  kyā  kaheñ  ham  apne  baare  meñ
na  jaane  dast-e-kūza-gar  hameñ  kaisā  banāte  haiñ
banānī  hai  hameñ  tasvīr-e-dil  kāġhaz  pe  lekin  ham
kabhī  dariyā  banāte  haiñ  kabhī  sahrā  banāte  haiñ
ġhazal  us  ke  liye  kahte  haiñ  lekin  dar-haqīqat  ham
ghane  jañgal  meñ  kirnoñ  ke  liye  rasta  banāte  haiñ
kabhī  bhūle  se  bhī  us  kī  taraf  mat  dekhnā  'az.har'
zarā  sī  baat  kā  ye  log  afsāna  banāte  haiñ