qazā  kā  tiir  thā  koī  kamān  se  nikal  gayā
vo  ek  harf  jo  mirī  zabān  se  nikal  gayā
bahut  ziyāda  jhuknā  paḌ  rahā  thā  us  ke  saa.e  meñ
so  ek  din  maiñ  us  ke  sā.ebān  se  nikal  gayā
abhī  to  tere  aur  tire  adū  ke  darmiyān  huuñ
agar  kabhī  maiñ  thak  ke  darmiyān  se  nikal  gayā
mire  adū  ke  ḳhvāb  chaknā-chūr  ho  ke  rah  ga.e
maiñ  jast  bhar  ke  dasht-e-imtihān  se  nikal  gayā
tire  kalām-e-fan  kā  sirf  maiñ  hī  qadr-dān  huuñ
agar  maiñ  terī  is  bharī  dukān  se  nikal  gayā