apnā  jaisā  bhī  haal  rakkhā  hai
tere  ġham  ko  nihāl  rakkhā  hai
shā.erī  kyā  hai  ham  ne  jiine  kā
ek  rasta  nikāl  rakkhā  hai
ham  ne  ghar  kī  salāmtī  ke  liye
ḳhud  ko  ghar  se  nikāl  rakkhā  hai
mere  andar  jo  sar-phirā  hai  use
maiñ  ne  zindāñ  meñ  Daal  rakkhā  hai
ek  chehra  hai  ham  ne  jis  ke  liye
ā.inoñ  kā  ḳhayāl  rakhā  hai
is  baras  kā  bhī  naam  ham  ne  to
terī  yādoñ  kā  saal  rakkhā  hai
girte  girte  bhī  ham  ne  hāthoñ  par
āsmāñ  ko  sambhāl  rakkhā  hai
kyā  ḳhabar  shīshagar  ne  kyuuñ  'az.har'
mere  shīshe  meñ  baal  rakkhā  hai