gungunātī  sī  koī  raat  bhī  aa  jaatī  hai
aap  aate  haiñ  to  barsāt  bhī  aa  jaatī  hai
ham  ko  har-chand  gavārā  nahīñ  aañsū  lekin
apnī  jholī  meñ  ye  ḳhairāt  bhī  aa  jaatī  hai
ārzūoñ  ke  janāze  hī  nahīñ  palkoñ  par
bijliyoñ  kī  kabhī  bārāt  bhī  aa  jaatī  hai
gardish-e-jām  se  haT  kar  bhī  tirī  āñkhoñ  se
vajd  meñ  gardish-e-hālāt  bhī  aa  jaatī  hai
vo  fasāne  jo  mire  naam  se  mansūb  hue
un  fasānoñ  meñ  tirī  baat  bhī  aa  jaatī  hai