Ehtisham Husain

rasm hi shahr-e-tamanna se wafa ki uTh jae

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972

rasm shahr-e-tamannā se vafā uTh jaa.e

is tarah to na koī ahl-e-mohabbat ko satā.e

vādi-e-dil meñ ka.ī rātoñ se sannāTā hai

kaash bijlī tire abr-e-sitam se gir jaa.e

apnī zillat salīb aap liye phirnā hai

ye baḌā bojh mohabbat ke sivā kaun uThā.e

bar-sar-e-jañg haiñ anvār se zulmāt ke dev

chāñd rātoñ ke añdhere meñ kahīñ Duub na jaa.e

ye samajh lo ki rag-e-jāñ meñ hai zahrāb-e-junūñ

jab nigāh-e-karam-o-lutf se bhī dil dukh jaa.e

dasht-e-ummīd meñ jaltā hai mire ḳhuuñ charāġh

raah manzil kaho mere sivā kaun dikhā.e

bārish-e-sañg-e-malāmat hai ḳhirad pathrāv

apne sar se ho jise pyaar mire saath na aa.e

Top Urdushayar.com