Ehtisham Husain

tujhe pasand jo dil ki lagan nahin aai

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
tujhe pasand jo dil kī lagan nahīñ aa.ī
mujhe bhī raas tirī anjuman nahīñ aa.ī
uḌā sā rañg hai kyuuñ vaqt ke mashīhāo
abhī to manzil-e-dār-o-rasan nahīñ aa.ī
taḌaptā hī rahā yāqūb dār-e-ahd-e-kuhan
havā-e-yūsuf-e-gul-pairahan nahīñ aa.ī
sitam-shi.ār to thā ġhair bhī magar us ko
jafā-tarāzī-e-ahl-e-vatan nahīñ aa.ī
jo dhuup ban ke chamak jaatī dil ke āñgan meñ
tirī nazar kī vo rañgīñ kiran nahīñ aa.ī
jo pesh-ḳhema bane inqalāb kā ab tak
jabīn-e-vaqt pe aisī shikan nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com