farzānoñ  kī  is  bastī  meñ  ek  ajab  saudā.ī  hai
kis  ke  liye  ye  haal  hai  us  kā  kaun  aisā  harjā.ī  hai
kis  ke  liye  phirtā  hai  akelā  shahr  ke  hañgāmoñ  se  duur
kaun  hai  jis  kī  ḳhātir  us  ko  tanhā.ī  raas  aa.ī  hai
kis  ke  lab  o  ruḳhsār  kī  bāteñ  Dhal  jaatī  haiñ  ġhazloñ  meñ
kis  ke  ḳham-e-kākul  kī  kahānī  vaj.h-e-suḳhan-ārā.ī  hai
kaun  hai  jis  kī  mahrūmī  ke  daaġh  haiñ  us  ke  siine  meñ
kaun  hai  jis  ke  ḳhvāboñ  kī  ik  duniyā  maiñ  ne  sajā.ī  hai
kyuuñ  us  kī  āshufta-sarī  kā  charchā  hai  ham  logoñ  meñ
kyuuñ  itnī  pur-kaif-o-soz  us  kī  shab-e-tanhā.ī  hai
'at.har'  aao  ham  bhī  us  ke  dil  kī  bāteñ  sun  aa.eñ
kahte  haiñ  dīvāna  hai  vo  vahshī  hai  saudā.ī  hai