Talib Baghpati

ye umar-e-hijr agar sarf-e-intizar na ho

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
ye umar-e-hijr agar sarf-e-intizār na ho
to vāqa.ī mujhe hastī pe e'tibār na ho
mujhe nahīñ hai agar in pe iḳhtiyār na ho
unheñ bhī ye dil-e-betāb sāzgār na ho
vahāñ vo ḳhush ki mujhe un se kuchh gila hī nahīñ
yahāñ ye paas kahīñ raaz āshkār na ho
rahā-sahā bhī dil-e-zār kā qarār gayā
vo bār-bār ye kahte haiñ be-qarār na ho
har ek dāman-e-gul par falak ke aañsū haiñ
ḳhizāñ kī maut se yuuñ zīnat-e-bahār na ho
jafā huī na vafā ab vo sīkhte haiñ hayā
ḳhudā kare ye irāda bhī ustuvār na ho
na gaa.eñ ishq ke naġhme jo bulbuleñ 'tālib'
chaman meñ gul na khileñ mausam-e-bahār na ho
Top Urdushayar.com