'mīr'  kā  soz-e-bayāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
'dāġh'  kā  lutf-e-zabāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
dil  to  ro.e  magar  āñkhoñ  meñ  tabassum  jhalke
ye  agar  rañg-e-fuġhāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
dost  kī  yaad  meñ  jazbāt  pe  aatā  hai  nikhār
hijr  kī  raat  javāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
yak  nafas-soz  se  mumkin  nahīñ  takmīl-e-ġhazal
har-nafas  sho.ala-ba-jāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
haañ  uchaTtī  sī  nazar  bhī  hai  koī  chiiz  magar
yahī  nashtar  rag-e-jāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
sādiq-ul-ishq  hī  ye  nukta  samajhte  haiñ  'sahāb'
husn  dil  kā  nigarāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai