nazar  bahār  na  dekhe  to  be-qarār  na  ho
ḳhizāñ  sukūn  se  guzre  agar  bahār  na  ho
nigāh-e-dil  meñ  jo  rañgīnī-e-bahār  na  ho
gunāhgār-e-tamāshā  gunāhgār  na  ho
fareb-e-nik.hat-o-rañg  āgahī  shikār  na  ho
karishma-kār-e-chaman  meñ  agar  bahār  na  ho
ḳhizāñ  ke  jaur-e-musalsal  pe  be-qarār  na  ho
bahār  dekh  magar  ḳhūgar-e-bahār  na  ho
bajā  hai  ġhunche  kā  josh-e-numū  se  khil  uThnā
jo  gul  pe  aa.ī  vo  guzrī  huī  bahār  na  ho
mirā  shu.ūr-e-bahārāñ  ḳhizāñ  pe  ġhash  ho  'sahāb'
agar  vo  naqs-e-bahārāñ  kī  yādgār  na  ho