ishq  meñ  aisī  karāmāt  kahāñ  thī  pahle
aap  ke  husn  meñ  ye  baat  kahāñ  thī  pahle
ab  ye  sūrat  hai  ki  imkāñ  hī  nahīñ  furqat  kā
un  se  din-rāt  mulāqāt  kahāñ  thī  pahle
aks  ne  dekh  liyā  husn  ko  ā.īne  meñ
ishq  meñ  aisī  karāmāt  kahāñ  thī  pahle
rañg  laayā  hai  ye  us  gul  kā  tasavvur  shāyad
varna  rañgīnī-e-jazbāt  kahāñ  thī  pahle
aql  raas  aa  na  ga.ī  ho  tire  dīvāne  ko
fikr-e-nā-sāzī-e-hālāt  kahāñ  thī  pahle
naġhme  tere  haiñ  magar  haiñ  mire  hoñToñ  pe  ravāñ
merī  har  baat  tirī  baat  kahāñ  thī  pahle
Dhal  gayā  ishq  bhī  ab  husn  ke  sāñche  meñ  'sahāb'
bāzī-e-zīst  meñ  yuuñ  maat  kahāñ  thī  pahle