jiine  kī  hai  umiid  na  marne  kī  aas  hai
jis  shaḳhs  ko  bhī  dekhiye  tasvīr-e-yās  hai
jab  se  masarratoñ  kī  huī  justujū  mujhe
maiñ  bhī  udaas  huuñ  mirā  dil  bhī  udaas  hai
lāshoñ  kā  ek  Dher  hai  ghere  hue  mujhe
ābād  ek  shahr  mire  ās-pās  hai
mujh  se  chhupā  sakegī  na  apne  badan  kā  koḌh
duniyā  mirī  nigāh  meñ  yuuñ  be-libās  hai
yārān-e-mai-kada  mirā  anjām  dekhnā
tanhā  huuñ  aur  sāmne  ḳhālī  gilās  hai
ab  tark-e-ārzū  ke  sivā  kyā  kareñ  'zuhair'
is  dasht-e-ārzū  kī  fazā  kis  ko  raas  hai