phuul  kā  khilnā  bahut  dushvār  hai
mausam-e-gul  āj-kal  bīmār  hai
be-vasīla  baat  ban  saktī  nahīñ
mil  ga.ī  kashtī  to  dariyā  paar  hai
āñsuoñ  kā  aur  matlab  kuchh  nahīñ
muḳhtasar  sī  sūrat-e-iz.hār  hai
dostī  kā  raaz  ifshā  kar  ga.ī
dushmanī  bhī  ik  baḌā  kirdār  hai
ham  safīne  ke  liye  ik  bojh  haiñ
ham  agar  Duube  to  beḌā  paar  hai
zindagī  kī  razm-gāhoñ  meñ  'zuhair'
sarfaroshī  āḳhirī  tyauhār  hai