dil  meñ  rakkhā  thā  sharār-e-ġham  ko  aañsū  jaan  ke
haañ  magar  dekhe  ajab  andāz  is  tūfān  ke
apnī  majbūrī  ke  ā.īne  meñ  pahchānā  tujhe
yuuñ  to  kitne  hī  vasīle  the  tirī  pahchān  ke
zaḳhm  ḳhūñ-ālūd  haiñ  aañsū  dhuāñ  dete  hue
ye  suhāne  se  namūne  haiñ  tire  ehsān  ke
dard-o-ġham  ke  tapte  sahrā  kī  kaḌaktī  dhuup  meñ
so  gayā  huuñ  maiñ  tirī  yādoñ  kī  chādar  taan  ke
dekhiye  kab  tak  haqīqat  tak  rasā.ī  ho  'zuhair'
chāñd  tāroñ  tak  to  jā  pahuñche  qadam  insān  ke