shām-e-ġham  yaad  nahīñ  sub.h-e-tarab  yaad  nahīñ
zindagī  guzrī  hai  kis  tarah  ye  ab  yaad  nahīñ
yaad  hai  utnā  ki  maiñ  Duub  gayā  pastī  meñ
kitnī  ūñchī  huī  dīvār-e-adab  yaad  nahīñ
maiñ  ne  taḳhlīq  kiye  sher-o-suḳhan  ke  motī
merī  taḳhlīq  kā  thā  kaun  sabab  yaad  nahīñ
jin  ke  jalvoñ  se  thā  ābād  jahān-e-dil-o-jāñ
merī  nazroñ  se  nihāñ  ho  ga.e  kab  yaad  nahīñ
aañkh  meñ  ashk  haiñ  ashkoñ  meñ  ġhamoñ  kī  talḳhī
kaise  hote  haiñ  vo  naġhmāt-e-tarab  yaad  nahīñ
itnā  hī  yaad  hai  muddat  se  ḳhafā  haiñ  vo  'zuhair'
un  kī  ḳhafagī  kā  magar  koī  sabab  yaad  nahīñ