mirī  zaat  kā  hayūlā  tirī  zaat  kī  ikaa.ī
koī  ham-safar  hai  merā  ki  hai  terī  ḳhud-numā.ī
maiñ  huuñ  pur-sukūñ  azal  se  maiñ  huuñ  pur-sukūñ  abad  tak
magar  aañkh  kah  rahī  hai  nahīñ  tujh  se  āshnā.ī
maiñ  to  luT  chukā  zamāne!  mire  paas  kyā  rahā  hai
mire  hoñT  sil  chuke  haiñ  maiñ  bhalā  duuñ  kyā  duhā.ī
ye  farār  kā  hai  lamha  ki  qarār  kī  hai  sūrat
tirī  chāñd  sī  jabīñ  par  nahīñ  dāġh-e-bevafā.ī
yahī  umr  bhar  kā  dukh  hai  yahī  zindagī  kā  sukh  hai
na  koī  fareb-e-hastī  na  shu.ūr-e-dil-rubā.ī
maiñ  to  kal  bhī  thā  safar  meñ  maiñ  huuñ  aaj  bhī  safar  meñ
vahī  daur  merī  manzil  vahī  merī  jag-hañsā.ī
maiñ  'zuhair'  sochtā  huuñ  kabhī  zaḳhm  nochtā  huuñ
jaane  kab  nasīb  jaage  mile  fikr  se  rihā.ī