use  bhulā.e  hue  mujh  ko  ik  zamāna  huā
ki  ab  tamām  mire  dard  kā  fasāna  huā
huā  badan  mirā  dushman  adū  huī  mirī  ruuh
maiñ  kis  ke  daam  meñ  aayā  havas-nishāna  huā
yahī  charāġh  jo  raushan  hai  bujh  bhī  saktā  thā
bhalā  huā  ki  havāoñ  kā  sāmnā  na  huā
ki  jis  kī  sub.h  mahaktī  thī  shaam  raushan  thī
sunā  hai  vo  dar-e-daulat  ġharīb-ḳhāna  huā
vo  log  ḳhush  haiñ  ki  vābasta-e-zamāna  haiñ
maiñ  mutma.in  huuñ  ki  dar  us  kā  mujh  pe  vā  na  huā