rah  ga.ī  vo  nigāh-e-nāz  qalb  o  jigar  meñ  baiTh  kar
dil  meñ  latīf  sī  ḳhalish  aañkh  hai  āñ.suoñ  se  tar
raat  kī  niiñd  uḌ  ga.ī  din  kā  sukūn  luT  gayā
terī  nigāh-e-nāz  ne  kar  diyā  dil  pe  kyā  asar
sun  na  sake  usī  ko  vo  kah  na  sakā  usī  ko  maiñ
aish  kī  dāstāñ  meñ  jo  haal  thā  ġham  kā  muḳhtasar
shāḳh  se  gul  jo  gir  paḌā  dil  se  lagā  ke  rakh  liyā
daur-e-ḳhizāñ  bhī  dekh  luuñ  phuul  chune  haiñ  umr  bhar
koī  agar  nihāl  hai  koī  ḳharāb-hāl  hai
zarf  ke  saath  saath  hai  un  kī  nigāh  kā  asar
rañg-e-chaman  ko  dekh  kar  'ārif'-e-ḳhasta-dil  ye  kyā
phūloñ  pe  hai  kabhī  nazar  kāñToñ  pe  hai  kabhī  nazar