kamāl-e-ishq  meñ  soz-e-nihāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
bhaḌak  jaate  haiñ  jab  sho.ale  dhuāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
jabīñ  to  phir  jabīñ  hai  āstāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
jahāñ  tum  ho  kisī  kā  bhī  nishāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
tumheñ  dekhūñ  to  kyā  dekhūñ  tumheñ  samjhūñ  ko  kyā  samjhūñ
mohabbat  meñ  to  apnā  bhī  gumāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
unhīñ  se  pūchhiye  ye  un  ke  dil  par  kyā  guzartī  hai
bahāroñ  meñ  bhī  jin  kā  āshiyāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
kabhī  yaad  un  kī  aa.ī  hai  kabhī  vo  ḳhud  bhī  aate  haiñ
mohabbat  meñ  hijāb-e-darmiyāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
mohabbat  raas  aatī  hai  to  chhā  jaatī  hai  duniyā  par
bigaḌtī  hai  to  phir  nām-o-nishāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
ḳhizāñ  meñ  lāla-o-gul  kā  bharam  bhī  khul  hī  jaatā  hai
hamesha  to  fareb-e-gulistāñ  baaqī  nahīñ  rahtā
usī  manzil  meñ  aate  haiñ  kahīñ  dair-o-haram  'ārif'
harīm-e-dil  se  bach  kar  āstāñ  baaqī  nahīñ  rahtā