usī  dard-āshnā  dil  kī  taraf-dārī  meñ  rahte  haiñ
ham  apne-āp  meñ  gum  apnī  ġham-ḳhvārī  meñ  rahte  haiñ
yūñhī  ham  rafta  rafta  dil-girafta  hote  jā.eñge
ki  ham  apne  ġhamoñ  kī  nāz-bardārī  meñ  rahte  haiñ
ye  duniyā  ham  ne  duniyā-dār  kī  āñkhoñ  se  dekhī  hai
magar  ai  dil  ham  apnī  hī  amal-dārī  meñ  rahte  haiñ
hamāre  sukh  bahut  kam  aur  dukh  un  se  bahut  kam  haiñ
so  ham  bhī  aaj  kal  un  kī  nigah-dārī  meñ  rahte  haiñ
abhī  ahl-e-havas  duniyā  meñ  kyā  kyā  gul  khilā.enge
abhī  ahl-e-junūñ  ḳhvāb-e-jahāñ-dārī  meñ  rahte  haiñ