baaqī  hai  vahī  shoḳhi-e-guftār  abhī  tak
dīvāne  pahuñchte  haiñ  sar-e-dār  abhī  tak
sar  par  hai  bahāroñ  ke  mire  ḳhuun  kā  sahrā
ālūda  lahū  se  haiñ  gul  o  ḳhaar  abhī  tak
āzādi-e-kāmil  ke  tasavvur  meñ  hai  insāñ
apne  hī  ḳhayāloñ  meñ  giraftār  abhī  tak
gaate  haiñ  uḳhuvvat  ke  tarāne  to  shab  o  roz
barbādi-e-ālam  ko  haiñ  tayyār  abhī  tak
begāna  bane  laakh  mohabbat  se  zamāna
hai  jins-e-garāñ-māya  tirā  pyaar  abhī  tak
hotī  hai  ḳhayāloñ  hī  meñ  tanzīm  chaman  kī
kirdār  hī  badle  haiñ  na  guftār  abhī  tak
ma.asūm  hai  ma.asūm  bahut  amn  kī  devī
qabze  meñ  liye  ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhār  abhī  tak
'ārif'  ye  zamāna  to  badalnā  hī  paḌegā
uTTho  bhī  hai  is  kī  vahī  raftār  abhī  tak