dekhā  thā  kis  nazar  se  tum  ne  hañsī  hañsī  meñ
ik  dard-e-mustaqil  hai  ab  merī  zindagī  meñ
ka.aba  bhī  but-kada  bhī  hai  rāh-e-bandagī  meñ
ye  manzileñ  haiñ  kaisī  dushvār  āshiqī  meñ
ai  dost  yaad  un  kī  ab  tak  rulā  rahī  hai
do  din  jo  mil  ga.e  the  hañsne  ko  zindagī  meñ
ik  baat  par  hamārī  uljhan  meñ  paḌ  ga.e  tum
duniyā  na  jaane  kyā  kyā  kartī  hai  dostī  meñ
jab  hosh  meñ  rahā  maiñ  chhupte  rahe  vo  mujh  se
parde  haTā  diye  sab  dekhā  jo  be-ḳhudī  meñ
ai  merī  shām-e-furqat  yuuñ  dil  nahīñ  bahaltā
kuchh  aur  raushnī  kar  tāroñ  kī  raushnī  meñ
manzil  pe  mujh  ko  lā  kar  dāman  jhaTak  rahe  ho
yaad  aa.egā  mujhe  ye  ehsān  zindagī  meñ
daur-e-ḳhizāñ  se  ab  to  bahlā  rahā  huuñ  dil  ko
kāñToñ  meñ  phañs  gayā  huuñ  phūloñ  kī  dostī  meñ
tū  un  ke  sāmne  ho  vo  tere  sāmne  hoñ
aisā  bhī  ek  sajda  'ārif'  ho  be-ḳhudī  meñ