husn-o-ulfat  saath  haiñ  āġhāz  se  anjām  tak
merā  afsāna  sunā  jā.egā  tere  naam  tak
zindagī  kī  talḳhiyāñ  haiñ  gardish-e-ayyām  tak
lāla-o-gul  kā  tabassum  hai  chaman  meñ  shaam  tak
kyā  ḳhabar  parda-ba-parda  kitne  jalve  haiñ  nihāñ
chashm-e-zāhir-bīñ  ne  dekhā  un  ko  husn-e-ām  tak
jin  ke  paimāne  bhare  haiñ  un  pe  kyā  terā  karam
lutf  to  saaqī  hai  jab  bhar  jaa.eñ  ḳhālī  jaam  tak
jis  ne  jiine  kā  irāda  kar  liyā  vo  jī  gayā
us  se  katrā  kar  chalī  hai  gardish-e-ayyām  tak
ban  ga.e  shaiḳh-o-barahman  mālik-e-dair-o-haram
faiz-e-mai-ḳhāna  magar  jaarī  hai  ḳhās-o-ām  tak
saañs  lenā  to  nahīñ  koī  dalīl-e-zindagī
zindagī  kaisī  nahīñ  ab  zindagī  kā  naam  tak
husn  kī  pahlī  nazar  hī  dil  kī  duniyā  kho  ga.ī
luT  ga.e  āġhāz  meñ  dekhā  nahīñ  anjām  tak
ab  to  saaqī  azmat-e-mai-ḳhāna  tere  haath  hai
gardish-e-ayyām  aa  pahuñchī  hai  daur-e-jām  tak
mai-kada  kā  haal  kuchh  ho  chashm-e-sāqī  kuchh  kahe
hai  surāhī  tak  nazar  'ārif'  kisī  kī  jaam  tak