hijr  kī  be-tābiyāñ  thiiñ  hasratoñ  kā  josh  thā
husn  kā  āġhosh  phir  bhī  husn  kā  āġhosh  thā
ham  to  jis  mahfil  meñ  baiThe  shaġhl-e-nāv-nosh  thā
zindagī  meñ  maut  bhī  aa.egī  kis  ko  hosh  thā
zabt  karte  karte  āḳhir  phuuT  niklī  dil  kī  baat
hañs  paḌā  gulshan  meñ  jo  bhī  ġhuncha-e-ḳhāmosh  thā
ehtirām-e-husn  kahiye  yā  use  rob-e-jamāl
un  kā  parde  se  nikalnā  thā  ki  maiñ  behosh  thā
mujh  se  pūchho  sarguzasht-e-mai-kada  bāda-kasho
thā  kabhī  merā  bhī  aalam  maiñ  bhī  bāda-nosh  thā
laġhzisheñ  merī  musallam  ibtidā-e-ishq  meñ
aap  ko  bhī  kuchh  ḳhabar  thī  aap  ko  bhī  hosh  thā
ishq  kā  e.ajāz  thā  ye  ishq  kī  tāsīr  bhī
dil  se  jo  naala  nikaltā  thā  sukūn-e-gosh  thā
koī  kyā  samjhā  mirī  dīvāngī  ko  kyā  ḳhabar
aap  kī  nazroñ  meñ  thā  itnā  to  mujh  ko  hosh  thā
aaj  tasbīh-o-musalllā  le  ke  'ārif'  ban  gayā
kal  jo  rūh-e-mai-kada  thā  rind-o-bāda-nosh  thā