bahr-e-hastī  se  bhī  jī  ghabrā  gayā
be-kasī  bas  ab  kinārā  aa  gayā
kam  huā  karte  haiñ  aise  ḳhush-nasīb
tujh  pe  mar  kar  jin  ko  jiinā  aa  gayā
merā  miT  jaanā  tamāshā  thā  koī
aap  se  ye  kis  tarah  dekhā  gayā
dukh  bure  dil  kī  kahānī  kuchh  na  pūchh
phuul  ke  hañsne  pe  ronā  aa  gayā
sub.h  karnā  shām-e-ġham  kā  al-amāñ
sham.a  ko  dāñtoñ  pasīna  aa  gayā
ḳhush  raho  tum  chal  basā  bīmār-e-ġham
umr-bhar  kī  uljhaneñ  suljhā  gayā
rāh-e-ulfat  meñ  hai  marnā  zindagī
dard  manzil  tak  mujhe  pahuñchā  gayā
mausam-e-gul  bhī  hai  āñkhoñ  meñ  ḳhizāñ
dil  hī  kyā  baiThā  chaman  murjhā  gayā
vo  hue  kyā  aañkh  se  'ārif'  nihāñ
saarī  duniyā  meñ  añdherā  chhā  gayā