kisī  ke  ghar  na  maah  o  saal  ke  mausam  meñ  rahte  haiñ
ki  ham  hijr-o-visāl-e-yār  ke  aalam  meñ  rahte  haiñ
vahī  gul-gūñ  qabā-e-yār  hai  nazzāra-e-hairat
usī  nā-mehrbāñ  ke  gesu-e-pur-ḳham  meñ  rahte  haiñ
vahī  pyāsī  zamīñ  hai  halqa-e-zanjīr  kī  sūrat
vahī  ik  āsmāñ  jis  ke  tale  shabnam  meñ  rahte  haiñ
hameñ  ye  rañg-o-bū  kī  baat  ab  achchhī  nahīñ  lagtī
burā  kyā  hai  jo  ham  apnī  hī  chashm-e-nam  meñ  rahte  haiñ
guzar  hī  jā.egī  umr-e-ravāñ  āhista  āhista
agarche  ilm  hai  ham  ik  dam-e-be-dam  meñ  rahte  haiñ