kin  mausamoñ  ke  yaaro  ham  ḳhvāb  dekhte  haiñ
jañgal  pahāḌ  dariyā  tālāb  dekhte  haiñ
is  āsmāñ  se  aage  ik  aur  āsmāñ  par
mahtāb  se  judā  ik  mahtāb  dekhte  haiñ
kal  jis  jagah  paḌā  thā  paanī  kā  kaal  ham  par
aaj  us  jagah  lahū  kā  sailāb  dekhte  haiñ
us  gul  pe  aa  rahī  haiñ  sau  tarah  kī  bahāreñ
ham  bhī  hazār  rañgoñ  ke  ḳhvāb  dekhte  haiñ
dariyā  hisāb  o  had  meñ  apnī  ravāñ  davāñ  hai
kuchh  log  haiñ  ki  is  meñ  girdāb  dekhte  haiñ
ai  be-hunar  sambhal  kar  chal  rāh-e-shā.irī  meñ
fan-e-suḳhan  ke  māhir  ahbāb  dekhte  haiñ