ajab  kyā  hai  rahe  us  paar  bahte  jugnuoñ  kī  raushnī  tahlīl  kī  zad  meñ
havā-e-be-vatan  rakh  le  tulū-e-mahr  kā  ik  zā.icha  zambīl  kī  zad  meñ
ġham-e-be-chehragī  kā  aks  thā  jis  ne  vajūd-e-sañg  ko  mab.hūt  kar  Daalā
tarāshīñ  silvaTeñ  jūñhī  ḳhad-o-ḳhāl-e-tahayyur  aa  ga.e  tashkīl  kī  zad  meñ
shab-e-va.ada  fasīl-e-hijr  se  aage  chamaktā  hai  tirā  ism-e-sitāra-jū
ki  jaise  koī  paivand-e-ridā-e-sub.h  aa  jaa.e  kisī  qindīl  kī  zad  meñ
tamāshā.ī  darīche  meñ  thiraktī  surḳh  ā.ankhoñ  ke  tilism-e-ḳhvāb  meñ  gum  haiñ
magar  sahmī  huī  kaTh-putliyoñ  kī  zindagī  hai  āḳhirī  tamsīl  kī  zad  meñ
mire  naame  tahī-mazmūn  sahī  phir  bhī  tirī  lauh-e-muqaffal  kī  amānat  haiñ
kabhī  to  aa.egī  shakl-e-hurūf-e-nā-farastāda  ḳhat-e-tāvīl  kī  zad  meñ