kal  raat  bahut  zor  thā  sāhil  kī  havā  meñ
kuchh  aur  ubhar  aa.iiñ  samundar  se  chaTāneñ
ik  fasl  ugī  jūñhī  zamīnoñ  pe  suroñ  kī
tarkash  se  gire  tiir  fasīloñ  se  kamāneñ
mahsūs  huā  aise  ki  chup-chāp  haiñ  sab  log
jab  ġhaur  kiyā  ham  ne  to  ḳhālī  thiiñ  niyāmeñ
tum  habs  ke  mausam  ko  zarā  aur  baḌhā  lo
be-samt  na  ho  jaa.eñ  parindoñ  kī  uḌāneñ
kyuuñ  hoñT  pe  daryūza-gar-e-saut-o-sadā  haiñ
jo  āhaTeñ  be-nām  huiiñ  dast-e-duā  meñ