ek  pal  meñ  dam-e-guftār  se  lab-e-tar  ho  jaa.e
tujh  se  jo  baat  bhī  kar  le  vo  suḳhan-var  ho  jaa.e
ab  yahāñ  sirf  parī-chehra  raheñge  aa  kar
aur  koī  in  ke  alāva  hai  to  bāhar  ho  jaa.e
ho  gayā  rishta-e-jāñ  phir  dil-e-nādān  ke  saath
is  sipāhī  kī  tamannā  hai  ki  lashkar  ho  jaa.e
ab  ke  Thahrā.ī  hai  ham  ne  bhī  yahī  shart-e-vafā
jo  bhī  is  shahr  meñ  aa.e  vo  sitam-gar  ho  jaa.e
yaanī  ai  dīda-e-tar  terī  ināyat  hai  ki  bas
varna  maidān-e-suḳhan  aaj  hī  banjar  ho  jaa.e
ham  ne  āshob  ke  aalam  meñ  kahī  hai  ye  ġhazal
so  ye  ḳhvāhish  hai  ki  har  sher  gul-e-tar  ho  jaa.e