Shauq Qidvai

jafa pe shukr ka ummid-war kyun aaya

Shauq Qidvai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1852-1925
jafā pe shukr kā ummīd-vār kyuuñ aayā
mirī vafā kā use e'tibār kyuuñ aayā
ye dil kī baat hī muñh se adā nahīñ hotī
maiñ kyā kahūñ ki yahāñ baar baar kyuuñ aayā
ḳhayāl-e-pursish-e-mahshar se vo huā maġhmūm
nazar ke sāmne merā mazār kyuuñ aayā
kahāñ vo haath maiñ pā.ūñ hasīn laḌkoñ ke
saḌī nahīñ to sū-e-kohsār kyuuñ aayā
taḌap thī mar ke bhī mayyat pe shāyad aayā vo
nahīñ ye baat to dil ko qarār kyuuñ aayā
huā maiñ ḳhaak to vo laḌ rahā hai āñdhī se
ki tere saath mire ghar ġhubār kyuuñ aayā
vo intizār kī lazzat bhī le gayā ai 'shauq'
havā ke ghoḌe pe zālim savār kyuuñ aayā
Top Urdushayar.com